Poems by Lomas Kumar Bhatt
Ahh: Part—1
Wah………
Kya Hushne sarara hai,
Kya noore tabassum hai,
Katil gzab ki dekho,
Wo khun se tar btar hai,
Katil hi puchhta hai,
Ki dard bhi hota hai,
Allah bta de ab,
Moulla tu bta de ab,
Main kya jabab dun ab,
Tu hi use bta de……………….
Ye mouze madina me,
Ye julfe shafina hai,
Ye motiyon ki mala,
Do najren nagina hai,
Ab jabpt karun kaise,
Jazbate bawandar ko,
Uspar ye kyamat ki,
Tum had se gujarte ho,
Allah tu hi kah de,
Moulla tu ab ye kah de,
Main kaise btaun ab,
Ki had me had kaha hai ………….
Ye Hushne iwadat hai,
Ye mouje mukkaddas hai,
Jo jan pe aa jaye,
To moute ilahi hai,
Main to chala Samandar,
Me dub hi jane ko …………..
Ya ilahi teri,
Yahi rahi hai fitrat,
Tu hi samhal le ab,
Is maykade ki hashrat,
Kuchh Jame iwadat hai,
Kuchh Jame hiqarat hai,
Kuchh aafrine shokhiyan,
Kuchh fariston ki nuktachiniyan,
Katil gzab ki dekho,
Mehfil ki rangreliyan,
Ye sab tumhe mubarak,
Aie do jahan ke Malik,
Main to chala Samandar,
Me dub hi jane ko………….3!
@ Lomas Kumar Bhatt.
All Rights Reserved.
(1999).4/9/2019.
Aah: Part—2
Wah,
Kya Ishq-e-mukaddar hai,
Najron me hiqarat hai,
Thokar pe jamane ke,
Ab Ishq ki ashmat hai,
Sharmo haya se bekhabar,
Choukath pe tere baitha,
Dono jahan se gafil,
Wo dur Jharokhon se,
Allah ki duhai hai……………..
Kya khub tamasha hai,
Hushn ki mehfil me,
Hui Ishq ki rushbai,
Kehkashon me duba,
Hai aah Deewane ki,
Jakhmo pe uske dekho,
Marham hai zafai ki,
Fir bhi wo Deewana hai,
Hasta hai nachta hai,
Darvesh ban khuda ki,
Khudai pe jhumta hai,
Wo dur Jharokhon se,
Allah ki duhai hai……………..
Khuda ki khudai me,
Wo Hushn-e-deewana hai,
Allah ki najron me,
Wo Pak Parwana hai,
Jannat me ho rahi hai,
Swagat ki ab taiyari,
Wo dur Jharokhon se,
Allah ki duhai hai……………..
Hushne hiqarat se,
Ab jan hui bhari,
Fir bhi wo Deewana hai,
Masti me jhumta hai,
Allah ka pyara hai,
Qafir kahe use sab,
Mehmoob ki najron me,
Pagal wo Awara hai,
Wo dur Jharokhon se,
Allah ki duhai hai……………..
Samet li hai usne,
Daman me bewafai,
Ye aakhiri safar hai,
Hushn ki mehfil se,
Shehra use pehna do,
Kuchh ful hi bichha do,
Rahon me aaj uske,
Kuchh ashq bhent de do,
Ye pak safar dekho,
Mushkil se hi milta hai,
Duniya me Deewane ab,
Bolo kaha dikhta hai,
Farishton ne ki hai nemat,
Do bund gire aanshun,
Deewane ki deewangi,
Bas ho gai supurd-e-khak,
Wo dur Jharokhon pe,
Ab gir gya tha Parda……………
Main to chala Samandar,
Me dub hi jane ko……………….
Rah gya akela wo,
Lut gai deewangi,
Bikhar gaye the Jishm-o-jaan,
Kho gai parchhaiyan,
Bojh bane jishm ko,
Ukha ke khud ke kandhe pe,
Chal diya wo bekhudi me,
Manjilen anjan thi,
Aur raste sunsan the,
Ho gya khamosh wo,
Aur Aatma bhi lut gai,
Ab Khuda khamosh tha,
Khamosh thi Duhaiyan,
Ab N-a-Khuda Samandar tha,
Dub jane ke liye,
Ya Khuda…………..:
Tumhe mubarak,
Main to chala Samandar,
Me dub hi jane ko………….3.
@ Lomas Kumar Bhatt
All Rights Reserved.
(1999) 4/9/2019

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

ATUNIS GALAXY POETRY

atunisgalaktika@gmail.com

https://atunis.albanianforum.net/

Blog Stats

2,300,723 hits

September 2019
M T W T F S S
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

CATEGORIES LIST

BOARD OF DIRECTORS

  • Agron Shele (Albania -Belgium)
    Hasije Selishta – Kryeziu (Kosovo)
    Peter Tase (USA)
    Prof. Dr. Jeton Kelmendi (Albania- Belgium)
    Anna Keiko (China)
    Raimonda Moisiu IWA (Albania -USA)
    Dimitris P. Kraniotis (Greece)
    Sunita Paul (India)
    Isilda Nunes (Portugal)
    Dr. Claudia Piccinno (Italy)
    Susana Roberts (Argentina)
    Pavol Janik (Slovakia)
    Leda García Pérez (Costa Rica)
    Alisa Velaj (Albania)
    Dr. Jernail Singh Anand (India)
    Eden Soriano Trinidad (Philippine)
    Shoshana Vegh (Israel)
    NilavroNill Shoovro (India)
    Gunsel Djemal (UK)
    Võ Thị Như Mai (Vietnam – Australia)
    Luz María López (Puerto Rico)
    Sinan Vaka (Albania)
    Virginia Fernández Collado (Spain)
    Rozalia Aleksandrova (Bulgaria)
    Lumo Kolleshi ( Albania)
    Irina Hysi ( Albania)
    Rami Kamberi ( North Macedonia)
    Bilall Maliqi (Presheve)
    Milica Lilic (Serbia)

CONTACT

← Back

Thank you for your response. ✨

ARCHIVE

Terms List